|
Khwaab - Unnamed Love By - Harry Goswami |
Khwaab - Unnamed Love
December 25th 2015
Ek roz savere , Ek khwaab par amal kar raha tha.
Naa jane kitni der se kidhki ke samne baitha hua tha.
Suraj ki roshini kidhki se hookar mere chhere ko chu rhi thi .
Dhoop ne pore kamre ko roshan kar rakha tha .
Par uss khwaab ne mere dil ke kamre mein andhera kar rakha tha.
Shayad uski yaad, mere dil se phir fisal gyi ,
Aur yeh usi ki yaad thi jo phir se savere ansuo mein nikal gyi.
Sirf uski yaad nhi badli par shayd woh badal gyi ,
Mujhe rehna uske saath tha yhi mera khwaab tha.
Mere dil ke woh itne kareeb thi,
Ab meri mushkilo ka asq thi aur wajah bhi wohi thi.
Mein aksar adhi raat ko jag kar baith jaya karta tha.
Uske baare mein soch kar na jaane kitni raate guazzari hogi.
Aur yuhi aaj ki tarah khud ko adhura mehsoos karunga.
Jab bhi suraj ki roshini mere kamre ko ujale se bhar deti.
Toh mujhe yeh ehsaas hota
Ke Khuda ne mujhe zaba toh di par
Main usse kabhi kabool nhi kar paya ,
Dil toh diya magar uske siva khi nh laga paya.
Kabhi mil toh tujhe bata saku tujhe main iss tarh se chah saku,
Tujhe seene mein itne arso ka yeh dard dikhau,
Jo tu na seh sake.
Teri sari mushkilo ko khud mein samet kar, main tere is dard ki dawa bana jau .
Tu mujhe apne gale se lag kar apna le mujhe, phir tere siva main kisi ka nah o pau.
Kabhi mil mujhe toh tujhe main bata saku.
Aaj ki subah kuch alag thi.
Aisa ehaas na jaane q ho raha tha aaj mujhe,
Shayad uske khwaab ka asar tha.
Roz ki tarah yeh din bhi guzar par aakhir mein,
Woh Pegaam aah gaya jisne mere dard ko phir se jaga diya.
Khabar yeh thi ki. 2 mahine baad ek dost ka nigah hai , isliye us din sabhi ko nigah mein majood hona hai.
Iss Khushi mein us din ka intezaar karte hue,
Uske naam ek khat likha hai. Uske liye.
Jis din usse milunge us din use padhaunga.
Shayad yeh mera aakhiri mauka hai, isliye main ise gavaunga nhi.
Taiyaaria maine khoob kari thi milne ki usse.
Usse milne se phle Maine Delhi ke mashoor designer se tuxedo banwaya , French perfume,
Jute magaya aur saath he ek anguthi, uske liye,
Jise maine lifafe mein chipa kar rakh diya tha.
Use dene ke liye.
Uss tareek ho aane mein abhi waqt tha. Par yaha meri jaan nikli jaa rhi thi , kaise baat karunga. Kya woh aaegi. Sawal kaafi the par un sabka jawaab usi ke pass tha.
Yeh jaane ke liye ki aaegi ya nhi. Maine ek group banwa diya . jinme sabhi logo ko jodhne ko kaha. Aur raat hote hote kaafi log us group mein jud chuke the.
Baate honi bhi shuru ho gyi thi. dheer saare messages the sabhi ke .
Group mein kai naye log bhi jude ross,ana,Emily,cheng shayad kaira bhi, kya woh bhi judi hogi. Sabhi ne apna naam batane laage par jis naam ki mujhe talash thi woh naam khi nazar nhi aaya.
Maine uski khaas dost se uski khabar puchi uska pata pucha , par Lagta hai shayad uski yeh khaas dost ab itni khaas nhi rhi.
Aisa lag raha tha jaise yeh akhiri mauka bhi ret ke tarah fisal gaya mere haath se.
Maine ab Faisla Kar liya tha ,
Ab aur intezaar nhi karunga tere liye, isliye Apni saari baate email mein likh ke tujhe bhej di. Iss umeed mein ki Shayad ek din.
Woh email tujh tak who pahuch jaaye. Baaki toh iss mohabbat ki ksimat khuda ko Saup chukka hu main.
Usi ke saath he mujhe dafna dena,
Ki main kisi aur se mohabbat nhi kar sakta.
Meri majboori hai , Ki main Tere kaandhe par
Ser rakh kar main ro nhi sakta.
Tera woh khat shayad ek din tujh tak pahuch jaye,
Dua karunga hamre milne se phle kahi hame maut na aah jaaye.
.
.
.
.
1 New Mail…
- A Story by Harry Goswami
Comments
Post a Comment